Batao, dhoondoge mujhe?

Chalo aj ek khel khelte hain
Mai kahi chhup jata hu, aur tum mujhe dhoondo
Khel mein hi sahi, bekaraar toh tum bhi hoge mujhe paane ke liye
Phir haar jaane ka gamm na hoga mujhe, tumhari uss bekaraari ka hausla jo milega mujhe
Pal bhar ke liye hi sahi, ulfat mein na sahi
Tishnagi dikhegi tumhari aankho mein mujhe
Phir chaahe hamari zameen mil jae, ya aasmaan aakar tumhare kaan mein phus-phusaye
Dhoond toh loge hi tum mujhe
Aur iss tarah, khel mein hi sahi, ulfat mein na sahi
Puri kaiynaat jutt jayegi hume milaane ke liye
Chalo phir, shuru karte hain
Mai kahi chhup jata hu, aur tum mujhe dhoondo!

3 thoughts on “Batao, dhoondoge mujhe?

  1. You are going great, expressing all of our thoughts in these few lines, curiously waiting for more of these, and thank you for such great captions🤘 i would love to add these up as they are very relatable.😍

    Liked by 1 person

Leave a comment